Barsaat Ki Dhun Lyrics Jubin Nautiyal

Share:

Barsaat Ki Dhun Lyrics Jubin Nautiyal


Track Name: Barsaat Ki Dhun
Vocals: Jubin Nautiyal
Songwriter: Rashmi Virag
Music: Rochak Kohli
Cast: Jubin Nautiyal, Gurmeet Choudhary, Karishma Sharma
Music-Label: T Series



Barsaat Ki Dhun Lyrics

Aao ek bheegi huyi si kahani sunata hoon
Jab aasman se boondein nahi
Mohabbat barsi hai
Barsaat ne aisi dhun chhedi
Jiske liye zindagi sadiyon tarsi thi

Kisi shaayar ka dil ban ke
Barasti hain boondein tum pe

Kisi shaayar ka dil ban ke



Barasti hain boondein tum pe
Nazaara uff kya hota hai
Guzarti hain jab zulfon se
Door kahin abb jao na tum
Sunn sunn sunn barsaat ki dhun sunn
Sunn sunn sunn barsaat ki dhun sunn

Dil mein yahi ek gamm rehta hai
Sath mere tu kamm rehta hai


Haan dil mein yahi ek gamm rehta hai
Sath mere tu kamm rehta hai

Chhod ke abhi jao naa tum
Sunn sunn sunn barsaat ki dhun sunn

Haan dheere dheere haule haule
Bhiga dengi yeh barsatein

Haan dheere dheere haule haule
Bhiga dengi yeh barsatein
Jaane kahaan phir milengi
Humein aisi mulakatein



Sambhaloon kaise main dil ko
Deewana chahe bas tumko
Khwaahishon mein hi
Jal raha hoon main yahaan

Woh pehli si barish ban ke
Baras jao na tum hum pe
Hawa ka rukh badal jaye
Mohabbat karna tum aise
Khwaab mera yeh todo na tum

Jismon se barasti barish
Ne rooh bhiga di hai
Is mausam ki saazish ne
Yoon neend uda di hai

Waise to dubane ko bas
Ik boond hi kafi hai
Socho to zara kya hoga
Abhi raat yeh baaki hai
Sath mere beh jao na tum

Sunn sunn sunn barsaat ki dhun sunn
Sunn sunn sunn barsaat ki dhun sunn
Bijli chamki lipat gaye hum
Baadal garja simat gaye hum

Bijli chamki lipat gaye hum
Badal garja simat gaye hum
Hosh bhi ho jaane do gumm

Sunn sunn sunn barsaat ki dhun sunn
Sunn sunn sunn barsaat ki dhun sunn
Sunn sunn sunn barsaat ki dhun sunn

[ End ]

No comments